Sher-o-Shayari Scraps
Mere chehre se utha do kafan,
mujhe aadat hai muskurane ki.
meri lash abhi mat jalana,
mujhe umeed hai unke aane ki.
Ham wo nahi jo tujhe gum main akela chhod denge,
ham wo nahi jo tujhse naata tod denge,
ham tere wo chahne waale hai,
ki agar teri saanse band padi to apni saanse jod denge.
Hontho ki baat ye ansoo kehete hain,
jo chup rehte hai fir bhi behete hain,
Aur in aasuon ki kismat to dekhiye,
ye unke liye behte hain jo in ankhon mein ghar kiye rahte hai.
Dil ki zuban wo samajh nahi pate,
lab hain magar kuch kah nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen,
koi hai jinke bina hum rah nahi paathe.
Zindagi rahe na rahe yari rahegi,
Pas raho na raho yadein rahegi,
Apni zindagi me hamesha haste rahna dost,
Kyunki tumgari hasi me ek muskaan hamari bhi rahegi.
Bahane bahane se teri baat kiya karte hai,
Har pal yahi fariyaad kiya karte hai,
Itni baar to aap saas bhi na lete honge ,
Jitni baar hum aapko yaad kiya karte hain!!
Palpal ki dosti ka vaada hai aapse ,
Apnapan kuch itna jyada hai aapse,
Na sochna ki bhul jaiyenge hum aapko,
Jindagi bhar satayenge ye vaada hai aapse,
Labo pe aaj unka naam aa gya,
Pyase ke haath jaise jaam aa gya,
Dole kadam to gira unke bahon me jakar,
Aaj humara pina bhi humara kaam aa gya,